Hazrat Ayub Story in Urdu

Hazrat Ayub a.s Story in Urdu


Hazrat Ayub a.s Ka Talluq Ahl e Room Se Tha. Allah Tala Ne Unhein Apna Rasool Chun Liya Tha. Hazrat Ayub a.s Nihayat Sabar o Shakir Aur Aajiz insan Thay. Allah Tala Aajzi inkisari Aur Shukarguzari Ku Pasand Farmatay Hai. Hazrat Ayub a.s Nihayat Maaldar Shaks Thay.


Allah Tala Ne Unhein Dunyawi Maal o Doulat K Sath Sath Auladon Ki Naimat Bhi Atta Farmai Thi. Hazrat Ayub a.s Nihayat Khuda Taras insan Thay. Charred n Ki Madad K Liye Har Waqt Tayar Rehtay Thay. Phir Allah Tala Ki Taraf Se Unki Aazmaish Shuru Hoai.


Aur Unkay Maal O Asbab Sab Khatam Ho Gay. Unkay Bachay Bhi Allah Ko Pyaray Ho Gay. Aur Unka Saara Jisam Zakhmon Say Bhar Gaya. Aap is Par Bhi Saabr O Shakir Rahay Aur Shikayat Ka Aaik Lafaz Bhi Zuban Par Na Laye. Hazrat Ayub a.s Ki Bemari Barhti Chali Gai. Tu Aap K Sathi Bhi Aap Ka Sath Chorh Gay.


Aaisay Mushkil Waqt Mein Sirf Apki Biwi Nay Apka Sath Diya. Jaisay Jaisay Museebatein Gai. Nice Un Kay Sabr Aur Shukar Mein izafa Hota Chala Gaya. Aap Ki Biwi Ne Baar Baar israr Kiya. K Ay Allah K Nabi Allah Say Shifa K Liye Dua Kijieay. Chunachay Hazrat Ayub a.s Nay Allah Se Roo Roo Kar Dua Ki.


Aur Allah K Moojazay Say Zameen Say Chashma Phoota. is Pani Kay istemal Say Hazrat Ayub a.s Bilkul Tandrust o Tawana Ho Gaye. Allah Nay Apko Aur Aap Ki Biwi Ko Jawani Bakhshi Aur Aap Pehlay Say Zayada Khush-haal Aur Maal-dar Ho Gaye.


Next Article mein bohat Allah Kay prophet Hazrat yahya ka bohat hi khosurat waqia hai zaroor read karein:

👉Hazrat Yahya Story in Urdu

Post a Comment

0 Comments