Khula hai sabhi ke liye baab e rehmat lyricsKhula hai sabhi ke liye baab e rehmat lyrics


Khula hai sabhi ke liye baab e rehmat lyrics

Khula hai sabhi ke liye baab e rehmat

Wahan koi rutbay mein adna na aali

Muradon se daman nahi koi khaali
Qataarein lagae kharay hain sawali

Main pehle pehal jab Madinay gaya tha
To thi dil ki haalat tarap janay wali

Woh darbaar sach much mere samne tha
Abhi tak tasawwur tha jis ka khayaali

Jo ek haath se dil ko thaame huye tha,  
To thi doosre haath Roza ki jaali
Dua ke liye haath uthte to kaise
Na ye haath khaali na woh haath khaali

Dhani apni qismat ka hai to wahi hai
Diyaar-e-Nabi ﷺ jis ne aankhon se dekha
Muqaddar hai sachha muqaddar usi ka
Nigah-e-Karam jis pe Aaqa ﷺ ne daali

Main tauseef-e-Sarkaar ﷺ kar to raha hoon
Magar apni auqaat se ba-khabar hoon
Main bas ek adna sana-khwaan hoon unka
Kahan main, kahan Naat-e-Iqbal-e-Aali

Naat Lyrics In English


The gate of mercy is open for all,
There’s no high or low in that sacred hall.

No soul returns with desires denied,
Seekers in rows stand side by side.

The very first time I went to Madinah,
My heart was trembling, filled with shiver.

That blessed court stood before my eyes,
Once just a dream, a thought to visualize.


When I raised my hands in humble prayer,
Neither hand was left empty there.

Truly wealthy is the one whose fate,
Lets him see the Prophet’s ﷺ blessed gate.
Fortunate indeed is he who’s blessed,
With the Prophet’s ﷺ gaze of kindness addressed.

I praise my Master ﷺ as best I can,
Yet know my worth, a humble man.
I’m only a servant, a simple voice,
While lofty verses of praise rejoice.

Next Article: