Mustafa jane rehmat pe lakhon salam lyrics
Mustafa jaan-e-rahmat pe laakhon salaam
Sham'a-e-bazm-e-hidayat pe laakhon salaam
Mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood
Gul-e-baagh-e-risaalat pe laakhon salaam
Shehriyaar-e-Iram taajdaar-e-Haram
Nau-bahaar-e-shafaat pe laakhon salaam
Shab-e-Asra ke dulha pe daa'im durood
Nausha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam
Arsh ki zaib o zeenat pe arshi durood
Farsh ki tayyib o nuzhat pe laakhon salaam
Noor-e-ayn-e-lataafat pe altaf durood
Zaib-o-zeen-e-nazafat pe laakhon salaam
Sarw-e-naaz-e-qadam, maghz-e-raaz-e-hikam
Yakka-taaz-e-fazeelat pe laakhon salaam
Nuqtah-e-sirr-e-wahdat pe yakta durood
Markaz-e-daur-e-kasrat pe laakhon salaam
Saahib-e-raj'at-e-shams o shaqq-ul-qamar
Naayib-e-dast-e-qudrat pe laakhon salaam
Jis ke zair-e-liva Aadam o man siwa
Us sazaaye siyaadat pe laakhon salaam
Arsh ta farsh hai jis ke zair-e-nageen
Us ki qaahir riyaasat pe laakhon salaam
Asl-e-har bood-o-bahbood, tukhm-e-wujood
Qaasim-e-kanz-e-ne'mat pe laakhon salaam
Fath-e-baab-e-nubuwwat pe be-had durood
Khatm-e-daur-e-risaalat pe laakhon salaam
Sharq-e-anwaar-e-qudrat pe noori durood
Fatq-e-azhaar-e-qurbat pe laakhon salaam
Be-saheem-o-qaseem-o-adeel-o-maseel
Johar-e-fard-e-izzat pe laakhon salaam
Sirr-e-ghaib-e-hidayat pe ghaibi durood
Itr-e-jaib-e-nihayat pe laakhon salaam
Maah-e-laahoot-e-khalwat pe laakhon durood
Shaah-e-naasoot-e-jalwat pe laakhon salaam
Kanz-e-har bekas-o-be-nawa par durood
Hirz-e-har rafta taaqat pe laakhon salaam
Partaw-e-ism-e-zaat-e-Ahad par durood
Nuskha-e-jaami'yat pe laakhon salaam
Matla-e-har sa'adat pe as'ad durood
Maqta-e-har siyaadat pe laakhon salaam
Khalq ke daadras sab ke faryaadras
Kahf-e-roz-e-museebat pe laakhon salaam
Mujh se bekas ki daulat pe laakhon durood
Mujh se bebas ki quwwat pe laakhon salaam
Sham'a-e-bazm-e-danaa hu mein gum kun ana
Sharh-e-matn-e-huwiyyat pe laakhon salaam
Intihaa-e-duwiyyat, ibtidaa-e-yaki
Jam'-e-tafreeq-o-kasrat pe laakhon salaam
Kasrat-e-ba'ad-e-qillat pe aksar durood
Izzat-e-ba'ad-e-zillat pe laakhon salaam
Rabb-e-a'laa ki ne'mat pe a'laa durood
Haq ta'ala ki minnat pe laakhon salaam
Hum ghareebon ke aaqa pe be-had durood
Hum faqeeron ki sarwat pe laakhon salaam
Farhat-e-jaan-e-momin pe be-had durood
Ghaiz-e-qalb-e-dalalat pe laakhon salaam
Sabab-e-har sabab muntahaaye talab
Illat-e-jumla illat pe laakhon salaam
Masdar-e-mazhariyyat pe azhar durood
Mazhar-e-masdariyyat pe laakhon salaam
Jis ke jalwe se murjhaayi kaliyan khilin
Us gul-e-paak manbat pe laakhon salaam
Qad-e-be-saaya ke saaya-e-rahmat
Zill-e-mamdood-e-raa'fat pe laakhon salaam
Tairaan-e-qudus jis ki hain qamriyan
Us sahi sarw-e-qaamat pe laakhon salaam
Wasf jis ka hai aaeena-e-haqq numa
Us khuda saaz tal'at pe laakhon salaam
Jis ke aage sar-e-sarwaran kham rahein
Us sar-e-taaj-e-rif’at pe laakhon salaam
Woh karam ki ghataa, gesu-e-mushk saa
Lakkha-e-abr-e-ra’fat pe laakhon salaam
Lailat-ul-qadr mein matla‘-e-fajr-e-haqq
Maang ki istiqamat pe laakhon salaam
Lakht lakht-e-dil-e-har jigar chaak se
Shaana karne ki haalat pe laakhon salaam
Door-o-nazdeek ke sunne waale woh kaan
Kaan-e-la‘l-e-karamat pe laakhon salaam
Chashma-e-mehr mein mauj-e-noor-e-jalaal
Us rag-e-haashimiyyat pe laakhon salaam
Jis ke maathay shafaa‘at ka sehra raha
Us jabeen-e-sa‘adat pe laakhon salaam
Jin ke sajde ko mehrab-e-ka‘ba jhuki
Un bhawon ki lataafat pe laakhon salaam
Un ki aankhon pe woh saaya afgan mujha
Zilla-e-qasr-e-rahmat pe laakhon salaam
Ashkbaari-e-mushgan pe barse durood
Silk-e-dur-e-shafaa‘at pe laakhon salaam
Ma‘ni-e-qad ra‘aina, maqsad-e-ma ta’gha
Nargis-e-baagh-e-qudrat pe laakhon salaam
Jis taraf uth gayi, dam mein dum aa gaya
Us nigah-e-inaayat pe laakhon salaam
Neechi aankhon ki sharm-o-hayaa par durood
Oonchi beeni ki rif‘at pe laakhon salaam
Jin ke aage chiraagh-e-qamar jhilmilaaye
Un ‘izaaron ki tal‘at pe laakhon salaam
Un ke khadd ki suhulat pe be-had durood
Un ke qad ki rashaakat pe laakhon salaam
Jis se taareek dil jagmagane lage
Us chamak wali rangat pe laakhon salaam
Chaand se munh pe taaban, darakhshan durood
Namak aageen sabaahat pe laakhon salaam
Shabnam-e-baagh-e-haqq yaani rukh ka araq
Us ki sachchi baraqat pe laakhon salaam
Khat ki gard-e-dahan, woh dil aara phaban
Sabza-e-nahr-e-rahmat pe laakhon salaam
Reesh-e-khush mu’tadil, marham-e-resh-e-dil
Haala-e-maah-e-nudrat pe laakhon salaam
Patli patli gul-e-quds ki patiyan
Un labon ki nazaakat pe laakhon salaam
Woh dahan jis ki har baat wahi-e-Khuda
Chashma-e-‘ilm-o-hikmat pe laakhon salaam
Jis ke paani se shaadaab jaan-o-jinaan
Us dahan ki taraawat pe laakhon salaam
Jis se khaari kuwein sheere jaaN baney
Us zulaal-e-halaawat pe laakhon salaam
Woh zabaan jisko sab ‘Kun’ ki kunji kahein
Us ki naafiz hukoomat pe laakhon salaam
Us ki pyaari fasaahat pe behad durood
Us ki dilkash balaaghat pe laakhon salaam
Us ki baaton ki lazzat pe laakhon durood
Us ke khutbe ki haibat pe laakhon salaam
Woh du‘a jis ka joban bahaare qabool
Us naseem-e-ijaabat pe laakhon salaam
Jin ke guchche se luchche jhadein noor ke
Un sitaaron ki nuzhat pe laakhon salaam
Jis ki taskeen se rote huye hans parein
Us tabassum ki aadat pe laakhon salaam
Jis mein nehrein hain sheer-o-shakar ki rawaan
Us gale ki nazarat pe laakhon salaam
Dosh bar dosh hai jin se shaan-e-sharaf
Aise shaanoN ki shaukat pe laakhon salaam
Hajar-e-Aswad-e-Ka‘ba-e-jaan-o-dil
Yaani mohr-e-nubuwwat pe laakhon salaam
Rukh-e-aaina-e-‘ilm, pusht-e-huzoor
Pushti-e-qasr-e-millat pe laakhon salaam
Haath jis simt utha ghani kar diya
Mauj-e-bahr-e-sakhaawat pe laakhon salaam
Jis ko baar-e-do ‘aalam ki parwaah nahi
Aise baazu ki quwwat pe laakhon salaam
Ka‘ba-e-deen-o-eemaan ke donoN sutoon
Sa‘idayn-e-risaalat pe laakhon salaam
Jis ke har khat mein hai mauj-e-noor-e-karam
Us kaf-e-bahr-e-himmat pe laakhon salaam
Noor ke chashme lehraayein, darya bahein
Ungliyon ki karaamat pe laakhon salaam
Eid-e-mushkil kushaayi ke chamke hilaal
NaakhunoN ki bashaarat pe laakhon salaam
Raf‘-e-zikr-e-jalaalat pe arfa‘ durood
Sharh-e-sadr-e-sadaarat pe laakhon salaam
Dil samajh se waraa hai magar yun kahoon
Ghuncha-e-raaz-e-wahdat pe laakhon salaam
Kul jahaan, milk aur jaw ki roti ghiza
Us shikam ki qana‘at pe laakhon salaam
Jo ke azm-e-shafaa‘at pe khinch kar bandhi
Us kamar ki himaayat pe laakhon salaam
Anbiya teh karein zaanu un ke huzoor
ZaanoN ki wajaahat pe laakhon salaam
Saaq-e-asl-e-qadam, shaakh-e-nakhl-e-karam
Sham‘a-e-raah-e-isaabat pe laakhon salaam
Khaayi Qur’aan ne khaak-e-guzar ki qasam
Us kaf-e-paa ki hurmat pe laakhon salaam
Jis suhaani ghadi chamka Tayba ka chaand
Us dil-afroz saa‘at pe laakhon salaam
Pehle sajda pe roz-e-azal se durood
Yaadgaari-e-ummat pe laakhon salaam
Zar‘-e-shaadaab-o-har zar‘-e-pur-sheer se
Barkaat-e-rizaa‘at pe laakhon salaam
Bhaaiyon ke liye tark-e-pistaan karein
Doodh peeton ki nasfat pe laakhon salaam
Mahd-e-waala ki qismat pe sadhaa durood
Burj-e-maah-e-risaalat pe laakhon salaam
Allah Allah woh bachpane ki phaban
Us Khuda bhaati surat pe laakhon salaam
Utthte booton ki nashw-o-numa par durood
Khiltay gunchon ki nighat pe laakhon salaam
Fazl-e-paidaaishi par hamesha durood
Khelnay se karaahat pe laakhon salaam
I‘tilaaye jibillat pe aala durood
I‘tidaal-e-tawiyyat pe laakhon salaam
Be-banawat ada par hazaaron durood
Be-takalluf malaahat pe laakhon salaam
Bheeni bheeni mehak par mehakti durood
Pyaari pyaari nafaasat pe laakhon salaam
Meethi meethi ‘ibaarat pe sheereen durood
Achhi achhi ishaarat pe laakhon salaam
Seedhi seedhi rawish par karoron durood
Saadi saadi tabiyyat pe laakhon salaam
Roz-e-garm-o-shab-e-teerah-o-taar mein
Koh-o-sahra ki khalwat pe laakhon salaam
Jis ke ghere mein hain anbiya o malak
Us jahaan-geer ba‘asat pe laakhon salaam
Andhe sheeshe jhula-jhul damakne lage
Jalwa rezi-e-da‘wat pe laakhon salaam
Lutf-e-bedari-e-shab pe be-had durood
Aalam-e-khwaab-e-raahat pe laakhon salaam
Khandah-e-subh-e-ishrat pe noori durood
Giryah-e-abr-e-rahmat pe laakhon salaam
Narmi-e-khuw-e-leenat pe daa’im durood
Garmi-e-shaan-e-satwat pe laakhon salaam
Jis ke aage khinchi gardanen jhuk gayin
Us Khuda daad shaukat pe laakhon salaam
Kis ko dekha yeh Moosa se poochhe koi
Aankhon waalon ki himmat pe laakhon salaam
Gard-e-mah, dast-e-anjum mein rakhshan hilaal
Badr ki daf‘-e-zulmat pe laakhon salaam
Shor-e-takbeer se thar-tharaati zameen
Junbish-e-jaish-e-nusrat pe laakhon salaam
Na‘rahaaye-dileeran se ban goonjtay
Ghur-rish-e-koos-e-jar‘at pe laakhon salaam
Woh chaka-chaak khanjar se aati sada
Mustafa teri saulat pe laakhon salaam
Un ke aage woh Hamza ki jaanbaaziyaan
Sheer-e-ghurraan-e-satwat pe laakhon salaam
Al-gharz un ke har moo pe laakhon durood
Un ki har kho-o-khislat pe laakhon salaam
Un ke har naam-o-nisbat pe naami durood
Un ke har waqt-o-haalat pe laakhon salaam
Un ke Maula ki un par karoron durood
Un ke as’haab-o-‘itrat pe laakhon salaam
Para-haaye-suḥuf, ghunch-haaye-quds
Ahl-e-bait-e-nubuwwat pe laakhon salaam
Aab-e-tat’heer se jism mein poday jamein
Us riyaaz-e-najaabat pe laakhon salaam
Khoon-e-khayr-ur-rusul se hai jin ka khameer
Un ki be-laughs teeneat pe laakhon salaam
Us Batool, jigar paara-e-Mustafa
Hijla-e-aaraaye-‘iffat pe laakhon salaam
Jis ka aanchal na dekha meh-o-mehr ne
Us ridaaye-nazaahat pe laakhon salaam
Sayyadaa, Zaahiraa, Tayyibaa, Taahiraa
Jaan-e-Ahmed ki raahat pe laakhon salaam
Hasan-e-Mujtaba, Sayyid-ul-Askhia
Raakib-e-dosh-e-izzat pe laakhon salaam
Auj-e-mehr-e-huda, mauj-e-bahr-e-nadaa
Rooh-rooh-e-sakhaawat pe laakhon salaam
Shehed-khwaar-e-lu‘aab-e-zabaan-e-Nabi
Chaashni-gir-e-‘ismat pe laakhon salaam
Us shaheed-e-balaa, shaah-e-gulgun qaba
Bekas-e-dasht-e-ghurbat pe laakhon salaam
Dur-e-durj-e-Najaf, mehr-e-burj-e-sharaf
Rang-e-ru-e-shahaadat pe laakhon salaam
Ahl-e-Islam ki maadaraan-e-shafeeq
Baanuwaan-e-tahaarat pe laakhon salaam
Jilwagiyaan-e-bait-ush-sharaf par durood
Parwagiyaan-e-‘iffat pe laakhon salaam
Seema pehli maa, kahf-e-amn-o-amaan
Haq guzaar-e-rafaaqat pe laakhon salaam
Arsh se jis pe tasleem naazil hui
Us saraaye salaamat pe laakhon salaam
Manzil-un-min qasab, la nasab la sakhab
Aise koshak ki zeenat pe laakhon salaam
Bint-e-Siddeeq, aaraam-e-jaan-e-Nabi
Us hareem-e-baraa’at pe laakhon salaam
Yaani hai Surah Noor jinki gawaah
Un ki purnoor soorat pe laakhon salaam
Jin mein Rooh-ul-Qudus be-ijaazat na jaaye
Un suraadik ki ‘ismat pe laakhon salaam
Sham‘a-e-taabaan kaashaana-e-ijtihaad
Mufti-e-chaar millat pe laakhon salaam
Jaan-nisaaran-e-Badr-o-Uhud par durood
Haq guzaaraan-e-bai‘at pe laakhon salaam
Woh dason jin ko Jannat ka mujda mila
Us mubaarak jama‘at pe laakhon salaam
Khaas us saabiq-e-sair-e-qurb-e-Khuda
Auhad-e-kaamiliyyat pe laakhon salaam
Saayah-e-Mustafa, maayah-e-istafaa
Izz-o-naaz-e-khilaafat pe laakhon salaam
Yaani us afzal-ul-khalq ba‘d-ar-rusul
Saani-uthnayn hijrat pe laakhon salaam
Asdaq-us-sadiqeen, Sayyid-ul-muttaqeen
Chashm-o-gosh-e-wizaarat pe laakhon salaam
Woh ‘Umar jis ke a‘daa pe shaida saqar
Us Khuda dost Hazrat pe laakhon salaam
Faaruq-e-haq-o-baatil, Imaam-ul-huda
Tegh-e-maslool-e-shiddat pe laakhon salaam
Tarjumaan-e-Nabi, ham-zabaan-e-Nabi
Jaan-e-shaan-e-‘adaalat pe laakhon salaam
Zaahid-e-Masjid-e-Ahmadi par durood
Dolat-e-jaish-e-‘usrat pe laakhon salaam
Dur-e-mansoor Qur’aan ki silk mein
Zauj-e-do-noor-e-‘iffat pe laakhon salaam
Yaani ‘Usmaan, saahib-e-qamees-e-huda
Hulla posh-e-shahaadat pe laakhon salaam
Murtaza, sher-e-Haq, ashja‘-ul-ashja‘een
Saaqi-e-sheer-o-sharbat pe laakhon salaam
Asl-e-nasl-e-safa, wajah-e-wasl-e-Khuda
Baab-e-fasl-e-wilaayat pe laakhon salaam
Awwaleen daafi‘-e-ahl-e-rafz-o-khurooj
Chaarumi rukn-e-millat pe laakhon salaam
Sher-e-shamsheer-zan, shaah-e-Khaybar shikan
Partaw-e-dast-e-qudrat pe laakhon salaam
Maahi-e-rafz-o-tafzeel-o-nasb-o-khurooj
Haami-e-deen-o-sunnat pe laakhon salaam
Mo’mineen pesh-e-fath-o-pas-e-fath sab
Ahl-e-khair-o-‘adaalat pe laakhon salaam
Jis Musalmaan ne dekha unhein ek nazar
Us nazar ki basaarat pe laakhon salaam
Jin ke dushman pe la‘nat hai Allah ki
Un sab ahl-e-muhabbat pe laakhon salaam
Baaqi saaqiyaan-e-sharaab-e-tahoor
Zain-e-ahl-e-‘ibaadat pe laakhon salaam
Aur jitne hain shehzaade is shaah ke
Un sab ahl-e-maqaanat pe laakhon salaam
Un ki baala sharaafat pe a‘laa durood
Un ki waala siyaadat pe laakhon salaam
Shaafi‘ee, Maalik, Ahmad, Imaam-e-Haneef
Chaar baagh-e-imaamat pe laakhon salaam
Kaamilaan-e-tariqat pe kaamil durood
Haamilaan-e-shari‘at pe laakhon salaam
Ghaus-e-A‘zam, Imaam-ut-Tuqaa-wan-Nuqaa
Jalwa-e-shaan-e-qudrat pe laakhon salaam
Qutb-e-abdaal-o-irshaad-o-rushd-ur-rashaad
Muhyi-e-deen-o-millat pe laakhon salaam
Mard-e-khail-e-tariqat pe be-had durood
Fard-e-ahl-e-haqiqat pe laakhon salaam
Jis ki minbar hui gardan-e-awliyaa
Us qadam ki karaamat pe laakhon salaam
Shaah-e-barkaate-o-barkaat-e-pesheeniyaan
Nau-bahaar-e-tariqat pe laakhon salaam
Sayyid-e-Aal-e-Muhammad, Imaam-ur-Rasheed
Gul-e-rawz-e-riyaazat pe laakhon salaam
Hazrat-e-Hamza, sher-e-Khuda-o-Rasool
Zeenat-e-Qaadiriyyat pe laakhon salaam
Naam-o-kaam-o-tan-o-jaan-o-haal-o-maqaal
Sab mein achhe ki soorat pe laakhon salaam
Noor-e-jaan, ‘itr-e-majmoo‘a Aal-e-Rasool
Mere Aaqaa-e-Ne‘mat pe laakhon salaam
Zaib-e-sajjaadah Sajjad, Noori nizaad
Ahmad-e-noor-e-teenat pe laakhon salaam
Be-‘azaab-o-‘itaab-o-hisaab-o-kitaab
Taa abad Ahl-e-Sunnat pe laakhon salaam
Tere in doston ke tufail, aye Khuda
Banda-e-nang-e-khalqat pe laakhon salaam
Mere Ustaad, maaN baap, bhaai, bahan
Ahl-e-walad-o-‘ashirat pe laakhon salaam
Ek mera hi rahmat mein da‘wa nahi
Shaah ki saari ummat pe laakhon salaam
Kaash mahshar mein jab un ki aamad ho aur
Bheje sab un ki shaukat pe laakhon salaam
Mujh se khidmat ke qudsi kahen "haan Raza"
Mustafa jaan-e-rahmat pe laakhon salaam
Read more naats:
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹