Hazrat Yahya Story in Urdu
Hazrat Yahya a.s Hazrat Zakariya a.s K Baitay Thay Jab Woh Paida Howay Us Waqat Hazrat Zakariya a.s Borhay Ho Chukay Thay. Is Say Pehlay Hazrat Zakariya Ka Koi Baita Nahin Tha. Unhon Nay Dua Ki Thi. Aur Allah Pak Ki Taraf Say Unhein Hazrat Yahya a.s Ki Khushkhabri Ki Mili Thi.
Hazrat Yahya a.s Bohat hi Naram Dil Thay. Woh Kabhi Kisi Ka Dil Na Dukhatay Woh Kisi Jaanwar Ko Bhokha Dekhtay Tu Ussay Apna Khana Day Detay Thay. Yahan Tak K Khud Un K Paas Khanay K Lye Kuch Na Rehta.Hazrat Yahya a.s Ko Bachpan Say Hi Parhnay Ka Bohat Shouq Tha.
Allah Pak Nay Unhein Chooti Umar Mein Hi UnKo Barhi Zahanat Atta Ki Thi. Hazrat Yahya a.s Ki Zindagi Saadghi Ki Misaal Thi. Woh Jo Milta Kha Letay Kai Baar Pattay Aur Jangli Phal Aur Jarhi Bootiyan Kha Kar Pait Bhar Letay. Allah Pak Nay Hazrat Yahya a.s Ko Jab Apna Nabi Chuna Tu Woh Aaam Logon Ko Allah Kay Ahkaam Samjhanay Lagay.
Aur Woh Samjhtay K Ay Logo Allah Ka Har Hukam Mano Aur Ghareebon Ka Bhala Karo Hamesha Sach Bolo Aur Doosron Ko Bhi Naiki Karnay Ko Kaho. Woh Dour Dour Ja Kar Logon Say Miltay Aur Un Say Allah Pak Ki Azmat Ka Zikar Kartay.
Is Zamane Mein Damishk Per Aaik Allah Pak Ka Na Farman Khabees Aur Zalim Badshah Hukumat Karta Tha.Woh Aaisay Kamoon Ka Hukam Deta Jin Ko Allah Nay Haraam Farmaya Tha. Aaik Hazrat Yahya a.s Us Badshah K Saamne Ja Pohanchay. Unhon Ne Ussay Zulam Say Mana Kiya Aur insaaf Karnay Ko Kaha.
Zalim Badshah Nay Hazrat Yahya a.s Shaheed Karwaya Allah Pak Nay Badshah Ko is Gunah Ki Sakhat Saza Di Allah Pak Nay Badshah Aur is Kay Tamam Ahlo Ayaal Ko Zameen Mein Dhnsa Diya.
Next article mein allah pak ke bohat hi pyaray nabi ka waqia shamil hai Lazmi prhein:
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹