Ae saba mustafa se keh dena lyrics
Ae saba mustafa se keh dena lyrics

Ae saba mustafa se keh dena lyrics

Aye Saba - Mustafa Se Keh Dena,

Gham ke maare - salaam kehte hain,

Yaad karte hain tumko - shaam o sahar,

Dil hamare - salaam kehte hain.


Allah Allah - huzoor ki baatein,

Marhaba - rang o noor ki baatein,

Chaand jin ki - balaaein leta hai,

Aur taarey - salaam kehte hain.


Allah Allah - huzoor ke gesu,

Bheeni bheeni - mehekti wo khushbu,

Jin se maamur - hain fiza e so,

Wo nazaare - salaam kehte hain.


Jab Muhammad - ka naam aata hai,

Rehmato(n) ka - payaam aata hai,

Lab hamare - durood parhte hain,

Dil hamaray - salaam kehte hain.


Ashiqo(n) ka - salaam le jao,

Ghamzado(n) ka - payaam le jao,

Haajio - Mustafa se keh dena,

Be saharay - salaam kehte hain.


Zikr tha - aakhri maheenay ka,

Tazkira - chirr gaya Madinay ka,

Haajio - Mustafa se keh dena,

Gham ke maaray - salaam kehte hain.


Ke izn mil jaye - phir madinay ka,

Kaam ban jaye ga - kameenay ka,

Jaake unko - dikhaunga main to,

Zakhm e dil - aur daagh seenay ka.


Zaairey Taiba - tu madinay main,

Sohnay Aaqa se - itna keh dena,

Aap ki gard e raah ko - Aaqa,

Chaand taarey - salaam kehte hain.


Naat Lyrics In English 

O Breeze – convey this to Mustafa (ﷺ),

The sorrowful send their greetings of peace.
We remember you morning and evening,
Our hearts send greetings of peace.

O Allah, such are the words of the Beloved,
Marhaba, such are the lights of His presence.
The moon bows down to His beauty,
And the stars send greetings of peace.

O Allah, such are the locks of the Beloved,
With a gentle, fragrant perfume.
From them the air is filled with sweetness,
Even the scenes send greetings of peace.

Whenever the name of Muhammad (ﷺ) is mentioned,
Messages of mercy descend.
Our lips recite blessings upon him,
And our hearts send greetings of peace.

Take the greetings of the lovers,
Carry the message of the sorrowful.
Tell Mustafa (ﷺ) on behalf of the pilgrims,
That the helpless send greetings of peace.

There was talk of the last month,
And the mention of Madinah arose.
Tell Mustafa (ﷺ) on behalf of the pilgrims,
That the afflicted send greetings of peace.

O visitor of Taybah, when you are in Madinah,
Say this to the Beloved Prophet (ﷺ):

If only permission for Madinah is granted,
Even a weak one’s hopes will be fulfilled.
I will show him the wounds of my heart,
And the scars upon my chest.

O visitor of Taybah, when you are in Madinah,
Say this to the Beloved Prophet (ﷺ):
That even the dust beneath his feet,
Is greeted with peace by the moon and stars.


Read Next Naat Sharif: