Aaik Burahi Aurat Kahani – Moral Story in Hindi

Aaik Burahi Aurat Kahani – Moral Story in Hindi

Kya aap kabhi aise waqt se guzray hain jab har raasta band lagta ho, har ummed tutti nazar aaye, aur sirf Allah ka sahara bacha ho?

Aaik Burahi Aurat Ki Kahani

Moral Story in Hindi

Ek door daraz gaon mein aik ghareeb aur sabir aurat rehti thi. Uska shohar kuch saal pehle wafat pa gaya tha. Ab wo apne do chhote bachon ke saath zindagi guzarti thi. Ghar ki halat bohot khasta thi. Kabhi roti milti, kabhi nahi. Lekin uska imaan Allah par itna mazboot tha ke har din Fajr ke baad wo haath utha kar sirf yehi kehti: "Ya Allah, mere bachon ke rizq ka, taleem ka, aur mere sabr ka badla zaroor dena."

Log usay dekh kar hairan hotay ke kaise itni tangi mein bhi uske chehre par sukoon rehta hai. Wo kabhi kisi se kuch nahi mangti thi. Sirf Allah se maangti thi. Kehti thi: "Mera Rab mere liye kaafi hai."

Ek din us gaon mein ek shadeed toofan aaya. "Hawa itni shiddat se chali ke uske chhote se ghar ki chhat udh gayi aur deewar bhi gir padi. Har cheez khatam ho gayi. Uske paas na khanay ko kuch bacha, na rehne ki jagah. Uske do chhote bachay bhook se ro rahe thay. Magar us aurat ne kisi ke samne haath nahi phailaya. Usne sirf ruk ruk kar dua ki: "Ya Allah, mujhe koi shikwa nahi, lekin tu to sab kuch dekh raha hai."

Agli subah jab wo apne bachon ko tasalli de rahi thi, to achanak darwazay par dastak hui. Bahar aik ajnabi aadmi tha. Uske haath mein aik thela tha – jismein khanay ka saman tha. Uska chehra roshan tha, aur aankhon mein sukoon.

Usne kaha: "Baji, mujhe raat mein khwab aaya tha ke mujhe falan gaon ja kar aik niki aurat ko ye saman dena hai. Pata nahi wo aap hain ya koi aur, lekin mein Allah ke hukum par aaya hoon."

Wo aurat kuch der ke liye chup ho gayi. Phir uski aankhon se aansu nikal aayein. Usne thela liya, sar jhukaya, aur kaha: "Aap ne nahi, mere Rab ne diya hai."

Wo din uske liye nayi zindagi ka aaghaz bana. Ajnabi shakhs ne uski halat dekhi, uske sabr aur Allah par yaqeen ko mehsoos kiya, aur uski madad karna apna farz samjha. Kuch hi mahine guzray, bachon ka school lag gaya, us aurat ko silai ka kaam mil gaya, aur uska purana jhuggi jaisa ghar ek chhote lekin mazboot kamray mein tabdeel ho gaya.

Poora gaon heran reh gaya ke ek aisi aurat, jiske paas kuch bhi nahi tha, uski qismat itni tezi se kaise badal gayi. Har koi poochta: "Yeh kaise hua?" Aur wo sirf itna kehti: "Jab sab raaste band ho jayein, to Allah apna raasta kholta hai."

Allah Qur’an mein farmata hai: “Aur jo Allah se daray, Allah us ke liye nikalnay ka raasta bana deta hai.” (Surah At-Talaq, 65:2)

Us aurat ne kisi insaan par bharosa nahi kiya. Usne kisi se madad nahi maangi. Usne har waqt sirf Allah se maanga. Aur jab waqt aaya, to Allah ne uske liye aise raaste bana diye jo us ne sochay bhi nahi thay.

Yeh kahani sabak hai un sab logon ke liye jo mushkilat mein phansay hote hain. Jin ka sab kuch chala jata hai. Jo akelay mehsoos karte hain. Agar aap bhi kisi tangi, kisi gham, kisi aazmaish mein hain, to bas ek baat yaad rakhein: Jab duniya ki har umeed chhoot jaaye, to bas Allah se ta’alluq na chhodein. Us par bharosa rakhein. Us se maangte rahin.

Dua kabhi zaya nahi jaati. Ya to foran qubool hoti hai, ya behtar waqt ke liye ruk jaati hai, ya kisi museebat ko taal deti hai. Sabr ka inaam hamesha meetha hi hota hai.

Log chhor dete hain, halat badal jaate hain, lekin agar aapka ta’alluq Allah se hai, to aap kabhi tanha nahi honge. Yeh duniya bas imtihaan hai. Aur jin logon ka bharosa sirf apne Rab par hota hai, wo kabhi har nahi maante.

A Story of a Sinful Woman 

Moral Story in English

Have you ever gone through a time when every path seemed closed, every hope shattered, and the only support left was Allah?

In a faraway village, there lived a poor but patient woman. Her husband had passed away a few years earlier, and now she was raising her two young children alone. Life was extremely difficult. Some days they had food, and some days they didn’t. Yet, her faith in Allah was unshakable. Every morning after Fajr prayer, she would raise her hands and simply say:
“Ya Allah, please provide for my children, bless them with education, and reward my patience.”

People in the village were amazed at how peaceful her face always looked despite her hardships. She never begged from anyone, never complained. She would say, “My Lord is enough for me.”

One day, a terrible storm hit the village.
The wind was so strong that it blew away the roof of her small house and even broke down one of its walls.
Everything she had was gone. She had no food left, no place to live, and her children were crying in hunger.
But she didn’t stretch her hand out to anyone.
She just whispered her prayer again and again:
“Ya Allah, I have no complaints, but You see everything.”

The next morning, as she was trying to comfort her children, there was a knock at the door.
She opened it and saw a stranger standing there, holding a bag filled with food.
His face was calm, and his eyes were kind.

He said,
“Sister, I had a dream last night that I should come to this village and deliver this food to a righteous woman. I don’t know if you’re that woman, but I’m here on Allah’s command.”

For a moment, the woman was silent.
Then tears welled up in her eyes.
She took the bag, bowed her head, and said:
“It wasn’t you… it was my Lord who sent this.”

That day marked the beginning of a new life for her.
The stranger, moved by her faith and patience, continued to help her.
Within a few months, her children were enrolled in school.
She found work as a tailor.
Her broken hut was replaced with a small but strong home.

The whole village was stunned at how quickly her life changed.
Everyone asked, “How did this happen?”
She would simply say:
“When all paths are closed, Allah opens His own path.”

Allah says in the Qur’an:
“And whoever fears Allah – He will make a way for him.”
(Surah At-Talaq, 65:2)

That woman never put her trust in people.
She never asked for help from anyone.
She always asked from Allah alone.
And when the time was right, Allah made ways for her that she had never imagined.

This story is a lesson for all those who are stuck in difficulties,
Who have lost everything,
Who feel alone.
If you are also going through hardship, loss, or trial — just remember one thing:

When the world abandons you, don’t abandon your connection with Allah. Keep trusting Him. Keep asking from Him.

Dua is never wasted.
Sometimes it's accepted instantly,
Sometimes it’s delayed for a better time,
And sometimes it prevents a greater harm.

The reward of patience is always sweet.

People may leave, circumstances may change,
But if your relationship is strong with Allah,
You will never be alone.

This world is only a test,
And those who place their trust solely in their Lord,
Never truly lose.

Read Next Moral Story:

Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia

Post a Comment

0 Comments