Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu

 



Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu
Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu
Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu
Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu
Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu
Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu
Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia || Islamic Moral Stories In Urdu

Ek badshah rasta bhatak kar kisi veraney mein pohanch gaya wahan aik jhonpari thi is jhonpari mein rehne walay shakhs ne badshah ki barhi khidmat ki woh ghareeb jaanta bhi nahi tha ke yeh badshah hai musafir samajh kar khidmat ki badshah bohat khush hwa jab jane laga to is ne apni ungli se angothi utari aur kaha ke tum mujhe nahi jantay ho mein badshah hon.

Yeh angothi apne paas rakho jab bhi koi zaroorat paish ho hamaray mehal mein aajana darwazay par jo darbaan ho ga usay yeh angothi dikha dena hum kisi bhi haalat mein hongay Aapki woh hum se mulaqaat kara day ga badshah chala gaya kuch din ke baad is ko koi zaroorat paish aagai to woh dehati barhay miyan mehal ke darwazay par puhanche kaha badshah se milna hai darbaan ne oopar se neechay tak usay dekha is ki kya auqaat hai badshah se milnay ki kehnay laga nahi mil satke muflis o qalash aadmi hai is dhaati shakhs ne phir woh angothi dikhayi.
Ab jab darbaan ne dekha to ankhein phati ki phati reh gayeen yeh badshah ki mohar laganay wali angothi thi aap ke paas kaisay aayi badshah ka hukam tha ke yeh angothi jo le kar aaye ga hum jis bhi haalat mein hon gay usay hamaray paas pohancha diya jaye chunancha darbaan usay sath le kar badshah ke khaas kamray tak gaya aur darwaaza khula huwa tha andar daakhil hue ab yeh jo shaks wahan chal kar aaya tha is ne dekha ke badshah namaz mein mashgool hai.

Is ke baad badshah ne dua ke liye apne haath uthaye is ki nazar pari to wahein se wapas ho gaya aur mehal se bahar jane laga darbaan ne kaha mil to lo kaha ab nahi milna mein jis kaam se aaya tha woh kaam ho gaya ab wapas jana hai thori dour chala jab badshah dua se farigh hogaya to darbaan ne kaha ke aisa aisa aadmi aaya tha yahan tak aaya phir wapas jane laga badshah ne kaha forًa le kar aon usay woh hamara mohsin hai badshah ne kaha aaye ho to miley baghair aisay kaisay chal diye.

Is ne kaha ke badshah salamat asal baat yeh hai ke aap ne kaha tha ke koi zaroorat paish aaye to aajana hum zaroorat poori kar den ge mujhe zaroorat paish aayi mein aaya aur aakar dekha ke aap bhi kisi se maang rahay hain to mere dil mein yeh khayaal aaya ke badshah jis se maang raha hai kyun nah mein bhi isi se maanguu.

Hamein jab bhi koi zaroorat ho barri ho ya choti ho is ka sawal sirf Allah pak se kya jaye wohi aik dar hai jahan mangi hui morad millti hai be shak dostoo Allah rab ulizzat hi haajat rava aur mushkil kusha hai Allah ke siwa koi haajat rava koi mushkil kusha nahi sirf wohi zaat hamein faida pohanchati hai aur nuqsaan se bacha sakti hai hum sab jab is ke maamlon ka aur woh zaat hum sab ki maalik hai hum sab is ke dar ke faqeer aur mohtaaj hain woh ghanni aur woh ab zaat hai aur woh dainay wala hai.

Post a Comment

0 Comments