Hazrat Juwayriya bint al-Harith Biography in Urdu
Hazrat Juwayriya bint al-Harith R.A Hazrat Muhammad Mustafa Saw ki mohtaram azwaj-e-mutahharat mein se ek hain. Aap R.A ki shakhsiyat intehai pur-noor aur dilkash thi. Aap Banu Mustaliq ke sardaar Harith ibn Abi Dirar ki beti thin, aur apki tarbiyat ek azeem khandan mein hui thi, jis ki wajah se aap ka har lehja, ada aur shakhsiyat intehai ba-wiqaar thi.
Hazrat Ayesha Siddiqa (Radi Allahu Ta’ala Anha) ne jab pehli baar Sayyidah Juwairiyah (Radi Allahu Ta’ala Anha) ko dekha, toh farmaya, "Woh pari jaisi khubsurat hain."
Nikah ka Waqia
Sayyidah Juwairiyah R.A ne Sha’baan 5 Hijri mein Hazrat Muhammad Mustafa Saw ke saath nikah farmaya. Us waqt aap R.A ki umar 20 saal thi aur Nabi Kareem Sa-allah hu alaihi wassallam ki umr 58 saal.
Is nikah se pehle aap Musaafi’ bin Safwaan ke nikah mein thin, jo jang-e-Muraisi mein halak ho gaye. Nabi Kareem Sa-allah hu alaihi wassallam ne unka asal naam "Barrah" se badal kar "Juwairiyah" rakha.
Jang-e-Muraisi aur Nikah
Banu Mustaliq ke sardaar Harith ibn Abi Dirar ne Madinah Munawwarah par hamla karne ka irada kiya, lekin Nabi Kareem Saw ko iski khabar mil gayi. Jang mein Musalmanon ko fatah hasil hui, aur Banu Mustaliq ke log qaid kar liye gaye.
Sayyidah Juwairiyah R.A bhi qaidiyoun mein thin aur Thaabit bin Qais ke hisse mein aayi thin. Aap R.A ne apni azadi ke liye Nabi Kareem Saw se madad ki darkhwast ki. Nabi Kareem Sallah u alaihi wasallam ne farmaya, "Kya mein tumhe is se behtar tarika na bata doun? Mein tumhein azad kar deta hoon aur tumse nikah karta hoon."
Aap R.A ne is izzat aur sharf ko khushi se qabool kiya. Aapka nikah Nabi Kareem Saw ke saath ho gaya, aur is nikah ki barakat se Banu Mustaliq ke tamam qaidiyon ko azadi mil gayi. Hazrat Ayesha R.A ne farmaya, "Main kisi aur aurat ko nahi jaanti jo apni qom ke liye Sayyidah Juwairiyah se zyada barakat wali ho."
Ibadat aur Faza’il
Sayyidah Juwairiyah R.A ka zyada waqt ibadat mein guzarta tha. Aap ek din subah se ibadat mein mashghool thin. Hazrat Muhammad Saw ne farmaya:
"Subhan allahi wa bi ham-dihi adada khalqihi wa-ridha nafsihi wazinata arshihe wa midada kali-matihi."
(Yeh kalimat tumhari subah se ki gayi ibadat se zyada afzal hain).
Wafat
Sayyidah Juwairiyah R.A Nabi Kareem Saw ke saath 6 saal guzari aur aapki wafat ke 39 saal baad, 65 saal ki umar mein Safar ke mahine mein wafat hui. Aapki janaza ki namaz Madinah ke governor Marwan bin Hakam ne padhi aur aapko Jannat al-Baqi mein dafan kiya gaya.
Read more related article:
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹