Hazrat Hood (A.S) Story in Urdu

Hazrat Hood (A.S) Story in Urdu

Hazaroun Saal Pehle Najad Aur Hijaz Ke Pahari ilaqay Mein Aaik Qoum Aabad Thi. Us Ka Naam Qoum Aaad Tha. Us Qoum Ke Loogh Bohat Lambay Aur Taqat Wer Thay. Woh Aunchi Aunchi imaratein Aur Barhay Barhya Buut Banatay. Unko Hi Poojate Aur Khoob Nazranein Charhate. Unka Khayal Tha Ke Buut Dewata Un Se Khush Hai.

Ab Unko Kisi Gunah Ki Saza Nahin Milay Ghi. Unki Hidayat Ke Liye Allah Pak Ne Hazrat Hood a.s Ko Apna Rasool Chuna. Unhon Ne Nafarman Loogoun Ko Samjhaya Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahin Hai. Allah Ke Siwa Koi Kisi Ki Saza Maaf Nahin Kar Sakta.

Yeh Buut Mitti Patthar Ke Siwa Kuch Nahin Hai. Us Per Pujariyoun Ko Gussa Aaya Aur Hazrat Hood a.s Ko Chouta Kehne Lagay. Hazrat Hood a.s Ne Loogoun Ko AKhirat Aur Allah Ke Aazab Se Daraya. Lekin Woh Baaz Na Aaye. Magar Hazrat Hood a.s Ne Himmat Na Haari.

 Aakhir Kaar Unki Mehnat Se Kuch Loogh iman Lay Aaye. Un Pujariyoun Ne Socha Ke Agar Hazrat Hood a.s Allah Pak Ka Paigham Phelatay Rahay Tu Aur Loogh Bhi iman Lay Aayein Gay. Unhein Tableegh Se Rookna Chahiye. Woh Aur Unke Saathi Hazrat Hood a.s Ko Takleefain Dene Lagay.

 Allah Pak Ne Hazrat Hood a.s Ko Hukam Diya Ke Apne iman Wale Sathiyoun Ko Le Kar Yahan Se Chale Jayein. Hazrat Hood a.s Aur Unke Sathi Wahan Se Chale Gaye. Uske Baad Allah Pak Ka Azaab Shuro Huwa.

Pehle Tu Waha 3 Saal Tak Barish Hi Na Huwi. Qehat Parh Gaya. Faslein Aur Charah Ghaas Sookh Gai Aur Muwaishi Bhooke Marnay Laghay. Un Logoun Ne Phir Bhi Touba Na Ki. Phir Aaik Rooz Barha Gehra Siyah Badal Namudaar Huwa. Ussay Dour Se Dekh Ka Woh Loog Bohat Khush Huway.

Magar Us Kaale Badal Ke Saath Hi Aaik Aandhi Bhi Aai Phir Woh Aandhi Teez Hoti Gai. Teez Aandhi Se Chattein Urrh Gai Aur Dewarein Girnay Laghin. Mitti Aur Raite Se Bhari Huwi itni Teez Aandhi Mein Na Woh Kuch Kha Pee Saktay Thay Aur Na Kharay Ho Saktay Thay. 

Yeh Aandhi Kai Din Raat Tak Lagatar Chalti Rahi Ke Yahan Tak Nafarman Loog Sab Halaak Ho Gaye. Yeh Aandhi itni Sakht Thi Ke Tamam Bott Aur imaratein Bhi Ghir Gai Jin Per Woh Loog Garoor Kartay Thay. Azaab Khatam Huwa Tu Har Taraf Barbadi Ke Nishanat Mujood Thay.

Is article mein hazrat nooh a.s ki story ko bayan kiya gaya hai:

Post a Comment

0 Comments