Hazrat Nooh Story in Urdu

Hazrat Nooh Story in Urdu

Hazaroun Saal Pehle Arab Mein Aaik Basti Thi. Wahan Ke Logh Allah Pak Ke Nafarman Ho Gaye. Un Logoun Ki Hidayat Ke Liye Allah Pak Nay Hazrat Nooh a.s Ko Apna Rasool Bana Kar Bhejha. Woh Allah Ka Hukam Na Mantay Balkay Butoun Ki Pooja Kartay Aur Mandir Ke Pujariyoun Ka Kaha Mantay.

Hazrat Nooh a.s Ne Un Logoun Ko Allah Pak Ka Paigham Pohanchaya. Hazrat Nooh a.s Ne Samjhaya Ke Ay Logoun Boutt Parasti Chorh Do. Sirf Aaik Allah Ka Hukam Mano.is Per Un Pujariyoun Ko Gussa Aaya.Unhon Ne Hazrat Nooh a.s Ko Choota Kaha.

Hazrat Nooh a.s Ne Sainkaroun Saal Un Logoun Ko Samjhaya Lekin Woh Logh Un Ki Baat Hi Na Suntay. Hazrat Nooh a.s Allah Ka Paigham Phailane Ki Musalsal Koshish Kartay Rahay.

Bohat Saaloun Ki Koshish Ke Baad Kuch Logh Hazrat Nooh a.s Ki Dawat Par iman Lay Aaye Aur Un Kay Sathi Ban Gaye. Yeh Dekh Kar Mandir Ke Pujari Hazrat Nooh a.s Ke Dushman Ban Gaye. Aur Hazrat Nooh a.s Ko Nuqsan Pohanchane Lagay. Unhon Ne Hazrat Nooh a.s Per Patthar Barsaye.

Aur Unko Jan Se Maarnay Ki Koshish Bhi Ki. Hazrat Nooh a.s Ne Un Logoun Ko Bata Diya Ke Mera Kam Tu Bas Yeh Yha Ke Allah Ka Paigham Tum Ko Suna Do. Ab Hidayat Ki Raah Per Chalna Tu Tumhari Apni Marzi Hai. 

Hazrat Nooh a.s Ne Dua Ki Ke Ya Allah Pak Ab Yeh Logh Bohat Sarkash Ho Gaye Hain. Yeh Tu Hamari Janoun Ke Dushman Ban Gaye Hain. Ya Allah Pak Ap iman Waloun Ko in Zalimoun Ke Shar Se Bacha Lein. 

Allah Pak Ne Hazrat Nooh a.s Per Wahi Nazil Ki Aur Un Ko Kashti Banane Ka Hukam Diya. Hazrat Nooh a.s Ne Jangal Ke Darakhtoun Ki Madad Se Aaik Barhi Kashti Banana Shuru Kar Di. Kafir Logh Unka Mazaq Uranay Lagay Q Ke Wahan Dour Dour Tak Koi Darya Ya Samandar Nahin Tha. 

Kashti Ban Gai Tu Barish Shuru Ho Gai. Allah Pak Ke Hukam Se iman Walay Sathi Bhi Sawar Ho Gaye. Aur Har Janwar Ka Aaik Jorha Bhi Sawar Ho Gaya. Barish itni Teez Thi Ke Aasman Ke Sath Sath Zameen Se Bhi Pani Obal Raha Tha. Teez Hawa Bhi Chal Rahi Thi. 

Sailaab Ki Khofnak Lehrain itni Unchi Ho Gai Ke Un Mein Tamam Nafarman Sarkish Logh Doob Gaye. Kashti Pani Per Tairti Rahi Aur Bilakhir Jodhi Nami Pahari Ke Qareeb Ja Kar Kashti Ruk Gai. Tamam Logh Aur Janwar Khushki Per Utray Youn Yeh Duniya Dobara Basi.

Next article mein Hazrat Adam a.s aur Bibi Hawa Ka zikar hai:

Post a Comment

0 Comments