Hazrat Adam and Bibi Hawa Story in Urdu
Allah Pak Ne is Duniya Mein Sab Se Pehle insan Hazrat Adam a.s Aur Pehli Aurat Hazrat Hawa Ko Paida Kiya. Hazrat Adam a.s Allah Ke Nabi Thay. Allah Ne Unhein Namoun Ka ilam Diya. Hazrat Adam a.s Aur Unki Biwi Hazrat Hawa Pehle Jannat Mein Rehte Thay.
Allah Pak Ne Hazrat Adam a.s Aur Hazrat Hawa Ko Hukam Diya Ke Jannat Mein Jahan Chahein Jaye Aur Jo Chahein Khaein Lekin Us Darakht Ke Pass Na Jayein. is Ke Baad Hazrat Adam a.s Aur Hazrat Hawa Us Darakht Se Dour Rehte Thay.
Wahan Aaik Magroor Shaitan iblees Bhi Tha. Shaitan iblees Ne Socha Ke Mein insan Se Behtar Hon Q Ke Mein Aagh Se Bana Hon Aur Yeh Mitti Se Banay Hain. Woh Chahta Tha Keinsan Jannat Mein Na Rahein.
iblees Ne Adam a.s Aur Hazrat Hawa Ko Gumra Karnay Ki Koshish Ki. iblees Ne Unse Kaha Ke Us Khas Darakht Ka Phal Bara Mazedar Hai Is Liye Unhein is Phal Ka Zaiqa Chakh Kar Dekhna Chahiye.
Hazrat Adam a.s Aur Hazrat Hawa Unke Kehne Per Jaise Hi Woh Phal Chakha Unhein Ahsas Ho Gaya Ke Woh Allah Pak Ki Nafarmani Kar Baithay Hain. Woh Roo Roo Kar Allah Pak Se Maafi Mangne Lagay. Allah Pak Ne Unko Maaf Tu Kar Diya. Aur Hukam Diya Ke Ab Woh Jannat Mein Nahin Reh Sakte .
Lehaza Allah Pak Ne Unhein Zameen Per Utar Diya Aur Farmaya Ke Tumhari Aulaad Mein Se Jo Koi Mera Hukam ManayGa. Ussay Donoun Jahanoun Mein Kamyabi Milay Ghi. Aur Jo Shaitan Ki Baat ManayGa Gumrah Hoga.
Ab Hazrat Adam a.s Aur Hazrat Hawa Samajh Gaye Ke Shaitan Ne Unse Choot Bola Tha Aur Woh insan Ka Sakht Dushman Hai. Unhon Ne Acchai Aur Burai Ka Faraq Apni Auladoun Ko Samjhaya Aur Yeh Bhi Btaya Ke Agar Duniya Aur Akhirat Ki Kamyabi Chahtay Ho Tu Kabhi Shaitan Ki Baat Na Man'na.
Sirf Allah Pak Ka Hukam Man'na Q Ke Wahi ibadat Ke Laiq Hai. Waqat Guzarta Gaya Aur insanoun Ki Tadaad Barhnay Lagi. Kuch Hi Ursay Mein Aaik Basti Ban Gai Aur Zameen Per Insani Abadi Shuru Ho Gai.
Is article mein Habeel aur Qabeel ka waqia hai:
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹