Habeel and Qabeel Story in Urdu

Habeel and Qabeel Story in Urdu

Allah Pak Ne insan Ko Paida Karne Se Bohat Pehle Hi Zameen o Asmaan Bana Liye Thay. Aur Us Waqat insani Zidagi ibtidai Halat Mein Tha. Hazrat Adam a.s Aur Hazrat Hawa a.s Zameen Per Abaad Huway Tu in Ke Han Bachay Paida Huway.

In Mein Say 2 Larkon Ke Naam Habeel Aur Qabeel Thay. Qabeel Umar Mein Bara Tha. Woh Kisan Tha Aur Faslein Ugata Tha. Habeel Aaik Charwaha Tha Aur Bhairh Bakarriya Paalta Tha. 

Habeel Naik Nujawan Tha Jabke Qabeel Zalim Tha. Wahan Aaik Khatoon Thin. Donoun Bhai Chahte Thay Ke Us Say Us Ki Shadi Jo Jaye. Is Tarah Jhakhra Shuru Ho Gaya. Un Ke Walid Ne Kaha Ke Donoun Allah Pak Ko Apni Apni Qurbani Paish Karein.

Jis Ki Qurbani Qabool Ho Gai Uski Shadi Us Khatoon Se Ho Jaye Ghi. Habeel Ne Apne Raiwarh Ki Aaik Bhairh Qurbani Ke Liye Li. Qabeel Ne Apni Fasal Mein Se Anaaj Ka Aaik Dhairh Liya Laga Diya. 

Donoun Ne Apni Qurbani Paharh Ki Choti Per Rakh Di Ke Dekhain Kis Ki Qurbani Qabool Hoti Hai. Aasman Se Aaik Aagh Aai Jis Ne Habeel Ki Bakri Ko Jala Dala.

 Qabeel Ke Anaaaj Ka Dhair Waisay Hi Para Raha. Is Ka Matlab Tha Ke Habeel Ki Qurbani Qabool Ho Gai Aur Qabeel Ki Qurbani Qabool Nahin Huwi.

 Qabeel HabeelSe Hasad Karne Laga. Aaik Baar Usne Habeel Se Pocha Ke Tumhari Qurbani Q Qabool Huwi Aur Meri Qurbani Q Qqabool Nahin Huwi. Habeel Ne Kaha Ke Qurbani Sirf Ussi Ki Qabool Hoti Hai Jo Naik Hota Hai. 

Yeh Sun Kar Qabeel Ko is Qadar Gussa Aaya Ke Us Ne Habeel Ko Maar Dala. Ab Qabeel Ko Samajh Nahi Aa Raha Tha Ke Habeel Ki Lash Ka Kya Karay. Uss Aaik Kawwa Dikhai Diya Jo Aaik Dosray Kawway Ke Murda Jisam Ko Zameen Mein Dafan Kar Raha Tha.

Qabeel Ne Bhi Habeel Ki Lash Dafan Kar Di. Allah Pak Ne Qabeel Ko Us Ke Juram Ki Saza Di. Aur Uski Baqi Umar Azab Meein Guzri.

Is article mein Ashab e Kahf ka waqia hai:
👉Ashab e Kahf Story in Urdu [English]

Post a Comment

0 Comments