Hazrat Yaqoob And Bani Israel History in Urdu
Hazrat Yaqoob a.s falastine k shamali ilaqe qinan mein
rehte thay. Woh Hazrat Ishaq a.s k baitay aur Hazrat Ibrahim a.s k potay thay.
Hazrat Yaqoob a.s ka mizaaj bachpan se hi sada tha woh naik aur reham dil
insaan thay.
Khud bhi naik kaam karte aur dosron ko bhi naik kaam karne ki taqeed karte thay. Allah Pak ne Hazrat Yaqoob a.s ko apna nabi chun liya. Jab Hazrat Yqaoob a.s nujawan thay tu apne barhay chaccha k pass kuch arsa k liye haraan chale gaye. Aaik raat Hazrat Yaqoob a.s ne aaik khawab dekha. Is khawab mein Allah Pak ne unko aur unki aulaad ko azeem rutbay milnay ki khushkhabri di.
Hazrat Yaqoob a.s chaccha k han rehte howay unki bheron ki rakhwali karte thay. Issi kaam mein kafi arsa guzar gaya. Allah pak ne Hazrat Yaqoob a.s ko wapis ussi jagah lout jane ka hukam diya. Jahan pehlay unkay baap dada rehte thay. Hazrat Yaqoob a.s ko Allah Pak ne 2 biwiyoun se 12 baitay atta farmaye thay. Hazrat Yaqoob a.s ko apnay baarwain baitay Hazrat Yousaf a.s se bohat pyar tha.
Hazrat Yaqoob a.s ko pata k tha k Hazrat Yousaf a.s ko barhay ho kar bohat aala maqam milay ga. Hazrat Yaqoob a.s k Hazrat Yousaf a.s se pyaar ko dekh kar unke 10 barhay baitay Hazrat Yousaf a.s se hasad karne lagay. Yeh baitay Hazrat Yousaf a.s k sotailay bhai thay. Aaik din unke sotailay bhaiyoun ne apne walid se choot bola aur kaha k Yousaf a.s ko bhairiya kha gaya hai.
Aur unki khoon alood qameez jis per bhairh ka khoon laga tha who Hazrat Yaqoob a.s ko dikhai. Hazrat Yousaf a.s unka choot samajh gaye aur Hazrat Yousaf a.s ki salamati aur unse milne ki duaein maangnein lagay. Woh kai saal tak duaein maangte aur unki yaad mein rootay rahay. Yahan tak k unki aankhein safaid hi gaye.
Jab Hazrat Yousaf a.s unse dobara milay tu woh mulak misar k wazire aazam ban chuke thay. Aur unke hukam per Hazrat Yaqoob a.s apne ghar walon ko lay kar misar aa gaye. Aur unke barahay baiton ne touba ki aur Allah pak se apne gunah ki maafi maangi who naik insaan ban gaye issi tarah Hazrat Yaqoob a.s ka khawab saccha ho gaya.
Is article mein Hazrat Loot Ka Waqia hai isko zaroor read karein:
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹