Hazrat Loot Ka Waqia | Hazrat Loot Story in Urdu
Hazaroon Saal Pehle Bahiraa Muraad Ke Janubi ilaqay Mein Aaik Shehar Tha Yeh Shehar Sadoom Kehlata Tha. Aur Yahan Ke Bashinde Sadoomi Kehlate Thay. Yeh Perlay Darjay Ke Badkaar Be-imaan Aur Barhay Hi Zaalim Loog Thay. Woh Har Kamzoor Per Zulam Karte Aur Nu-Umar Ghareeb Aur Musafir Larkoon Ko Apna Ghulam Bana Lete.
Aur Unki Hidayat Ke Liye Allah Pak Ne Hazrat Loot a.s Ko Apna Rasool Chuna. Hazrat Loot a.s Hazrat Ibrahim a.s Ke Bhateje Thay. Hazrat Loot a.s Apni Qaum Ko Seedha Rasta Samjhane Ki Koshish Karte. Lekin Woh Loog Aapas Mein Kehte K Q Na Unko Aur Unke Ghar Walon Ko is Shehar Se Nikaal Diya Jaye.
Unhon Ne Socha K Kahin Sadoom Ke Zalim Logon Ko Unke Aane Ka Pata Na Chal Jaye. Hazrat Loot a.s Jaante Thay Ke Woh Zalim Loog in Larkon Ko Zabardasti Apna Ghulam Banane Ki Koshish Karein Gay. Unki Biwi Gaddar Aurat Thi Woh in Larkon Ke Baare Mein Sadoomioun Ko Bata Aai.
Fooran Hi Woh Zalim Loog Aa Gaye Aur Kaha Ke Larke Hamare Hawale Kar day. Hazrat Loot a.s Ne inkaar Kiya. Tu Woh Loog Laraai Per Aamada Ho Gaye Hazrat Loot a.s Kehne Lagay Kaash Mere Pass Muqaable Ki Taaqat Hoti Un Mehmano Ne Hazrat Loot a.s Ko Bata Diya Fikar Na Karein. Yeh Aap Tak Nahin Pohanch Sakte.
Hum Allah Pak Ke Farishtay Hai Yeh Qaum Aap Ki Dushman Ban Gai Hai. Is Liye Allah Pak Ka Hukam Hazrat Loot a.s Ko Bataya Ke Apne Ghar Walon Ko Sath Lay Aur Raaton Raat Is Shehar Se Dour Chalay Jaye. Lekin Ap Ki Biwi Nahin Jaye Ghi.
Hazrat Loot a.s Ghar Ke Logon Ko Lekar Nikal Gaye Aur Gaddar Biwi Ko Kuch Na Bataya. Hazrat Loot a.s Aur Unke Saathi Teezi Se Chal Parhay Chand Ghante Baad Woh Jab Sadoom Se Dour Aaik Mahfooz Maqaam Per Pohanch Gaye Aur Subah Hone Wali Thi Is Waqat Aaik Khofnaak Aazaab Sadoom Shehar Per Nazil Howa.
Yeh Aaisi Darwoni Chinghaar Thi Jaise Koi Aatish Fashan Phat Parhe. Zalzale Ne Sare Shehar Ko Ulat Diya Is Ke Saath Hi Pathroon Ki Baarish Bhi Huwi Yeh Sara Aazaab Itna Achanak Aaya Ke In Na-Farman Zalimon Ko Bach Kar Bhaagne Ki Mohlat Hi Na Mil Saki Aur Woh Maare Gaye. Aur Un Mein Hazrat Loot a.s Ki Gaddaar Biwi Bhi Halaaq Ho Gai. Hazrat Loot a.s Aur Unke Imaan Wale Saathi Is Aazaab Se Bilkum Mehfooz Rahe.
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹