Hazrat ismail Story in Urdu
Hazrat Ismail a.s Hazrat Ibrahim a.s k baitay thay.
Unki walida ka naam Hazrat Haajra a.s tha. Hazrat ismail a.s jab goodh k
bacchay thay. Tu Allah pak ne Hazrat Ibrahim a.s ko hukam diya k apni baigum
Hazrat Haajra aur Hazrat ismail a.s ko hijaaz lay jaye.
Hazrat Ibrahim
a.s Allah pak k hukam se hazrat haajra a.s aur baitay ismail a.s ko wahan choor
kar wapis chalay gaye. Nannhay ismail a.s ne pyass ki wajah se rona shuru kar
diya. Hazrat Haajra a.s ne socha k
Pahari per charh ke dekhon, shaid koi aabadi ya sabzah nazar aa jaye, jahan se
pani mil sake.
Unhon ne nannhay ismail ko rait per leta diya aur
qareebi paharon safa aur marwa per dour dour kar chakkar lagane lagay. Lekin
unhein koi insaan dikhai na diya. Who fikar ho gaye. Hazrat Haajra a.s mayous ho
kar Hazrat ismail a.s ko dekhnay wapis Aai tu hairaan reh gaye. Unhon ne dekha
k Hazrat ismail a.s pyass ki wajah se Aariyann ragarh rahay hai.
Aur jahan rait per unki Aariyann ragarh kha rahi hai,
wahan se pani ka chashma nikal raha hai. Unhon ne jaldi se baitay ko pani
pilaya aur khud beh piya. Issi chashmay ka naam zam zam hai.
Itni hi dair mein wahan aaik khana badoosh qafila aa
pohancha. Hijaaz mein kai qabilay Aaise thay jo apne khaimay apne sath liye
phirtay rehte thay. Unhein jahan pani ka kunwa milta, wahan khaimon ki basti
basa lete. Is qabilay ka naam bano jarham tha.
In logon ne Hazrat Haajra a.s aur nannhay ismail a.s
ko dekha aur in se chashmay ki dastan suni tu bohat hairaan howay.
Woh samajh gaye k in maa baitay per Allah ka koi khass
fazal hai. Unhon ne nannhay isamil a.s aur in ki walida Hazrat Haajra a.s ki
bohat izzat ki aur phir wahin khaimay laga liye.
Hazrat ismail a.s jab itnay barhay ho gaye k kaam kaaj
mein apnay walid ka haath batane lagay, tu Hazrat Ibrahim a.s ne aaik khawab
dekha. Unhon ne dekha k woh apne baitay Hazrat ismail a.s ko qurban kar rahay
hai.
Unhon ne apne Hazrat isamil a.s se ussi khwab ka zikar
kiya. Hazrat ismail a.s ne jawab diya k yeh khawab zaroor Allah pak ki taraf se
aaik imtehan hai aur mein Allah ki raza k liye qurban ho jane per tayyar hon.
Hazrat Ibrahim a.s apne baitay Hazrat ismail a.s ko
shehar se bahir mina k muqaam per lay gaye. Aur unhein peshani k bal lita diya.
Ussi waqat aaik farishtay ne pukara k aap apni aazmaish mein pooray utray hai.
Aap ne apna khwab sach kar dikhaya hai.
Aur Allah pak ki qurat se aaik dunba wahan aa gaya. Hazrat Ibrahim a.s ko hukam howa k Hazrat ismail a.s ki bajaye is dunbay ko qurban karein. Har saal haji log hajj k baad mina k muqaam per qurbani karte hai. Is se Hazrat Ibrahim a.s aur Hazrat ismail a.s ki us azeem qurbani ki yaad taza hoti hai.
Is article mein Hazrat Shoaib a.s ka khobsurat waqia hai lazmi read karein:
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹