Hazrat Shoaib Story in Urdu (English)

Hazrat Shoaib Story in Urdu

Madine k aksar log nihayat dhokay baaz aur lalchi thay. Allah pak per unka bilkul iman nahi tha. Who tijarat mein kum toltay aur har soday mein bey Imani kartay thay. Allah pak  ne Hazrat Shoaib a.s ko un logon ki rehnumai k liye apna Rasool chuna. Hazrat Shoaib a.s ne unhein samjhanay ki bohat koshish ki, magar woh log unka mazaq uratay, lekin unhon ne himmat na haari.

Phir kuch hi logon ne unki baat gour se suni. Tu unke dilon per itna asar howa k woh Allah per iman le aaye. Yeh dekh kar wahan k na farman sardaron ne Hazrat Shoaib a.s ko dhamki di. Sardaron ne kaha k ap apni tableeg se ruk jaye, warna hum ap aur apkay sathiyoun ko yahan se niakaal de gay. Dushmano ki dhamki k baad Hazrat Shoaib a.s ne wahan se chalnay ki tayari kar li.

Woh jante thay k Allah pak us qoum ko maaf nahin karte jo Allah k Rasool ki dushman ban jaye. Unhon ne aakhri baar un logon ko khabardar kiya. Unhon ne kaha k ay logon!Agar tum ne touba nahin ki tu tabaho barbad ho jao gay. Jab Hazrat Shoaib a.s aur unke sathi wahan se kafi dour pohanch gaye tu madine per Allah Pak ka azaab nazil hona shuru ho gaya.

Sab se pehlay wahan garmi aur habas ki aisi shadeed lehar aai k who log pareshan ho gaye. Phir aaik din dour asmaan per aaik kala badal namodar howa. Is badal mein bijlian karak rahin thi. Madine k log bohat khush howay. Unka khayal tha k ab thandi hawaye aaye ghi aur barish ho ghi. Woh sab k sab barish mein nahane k liye meedan mein nikal aaye. Tab us badil se un per aag ki barish barasne lagi aur un sarkish kaafron mein se koi bhi zinda na bacha.

Is article mein Hazrat Yaqoob a.s aur bani israel ka waqia hai isko zaroor parhein:

👉Hazrat Yaqoob And Bani Israel History in Urdu

Post a Comment

0 Comments