Ek Badshah Ka Ajeeb Waqia || New Moral Stories in Urdu (Hindi)


 
Ek Badshah Ka Ajeeb Waqia || New Moral Stories in Urdu (Hindi)
Ek Badshah Ka Ajeeb Waqia || New Moral Stories in Urdu (Hindi)
Ek Badshah Ka Ajeeb Waqia || New Moral Stories in Urdu (Hindi)
Ek Badshah Ka Ajeeb Waqia || New Moral Stories in Urdu (Hindi)

Ek Badshah Ka Ajeeb Waqia

Aaik Farakh Dil Badshah Ka Langar Hameshah Khula Rehta Tha Aur Makhlooq-e-Khuda Subah Shaam Aati Aur Khana Tanawal Karti Thi Naye Wazeer-e-Khazana Ne Badshah Ko Mashwara Diya Ke Sarkari Langar Hakoomati Khazanay Par Boojh Hai Is Ko Khatam Kar Dein Badshah Salamat Ne Wazeer Ke Kehnay Par Langar Band Karwa Diya.


Badshah Ne Raat Ko Khawab Dekha Ke Woh Apne Khazanay Ke Bahar Khara Hai Aur Mazdoor Khazanay Ki Boriyan Kamar Par Laad Kar Bahar Le Ja Rahay Hain Badshah Aaik Mazdoor Se Pochta Hai Ke Khazana Kahan Le Kar Ja Rahay Ho Mazdoor Ne Bataya Ke Is Khazanay Ki Ab Yahan Zaroorat Nahi Rahi. 


Badshah Ko Yeh Khawab Musalsal 3 Din Tak Aaya Aur Phir Badshah Ne ik Allah Walay Ko Bulaya Aur Poora Qissa Ussay Sunaya. Qissa Sun Kar Allah Walay Ne Badshah Ko Naseehat Ki Ke Foran Langar Ko Khol Do Is Se Pehlay Ke Tumhari Badshahi Chin Jaye Aur Tum Kangaal Ho Jao Tu Badshah Ne Foran Langar Khol Diya.


Aur Makhlooq-e- Khuda Apna Pait Bharnay Lagi Issi Raat Jab Badshah Soya Tu is Ne Khawab Mein Dekha Ke Woh Khazanay Ke Darwazay Par Khara Hai Aur Mazdoor Khazanay Ki Boriyan Wapas Laa Rahay Hai, Badshah Ne Poocha Ke Ab Yeh Boriyan Wapas Kyun Laa Rahay Ho Tu Mazdooron Ne Kaha Ke Un ki Yahan Phir Zaroorat Parh Gayi Hai.


Dostoo Aqal Mand Ke Liye Ishara Hi Kaafi Hota Hai Ke Baantne Se Ghat-ta Nahi Barhta Hai Lekin Aaj Ke Daur Mein Agar Dekha Jaye Tu Hamaray Kayi Aaisay Log Hain Jo Kisi Ko Bhi Aaik Rupiya Tak Dainay Se Guraiz Karte Hain.


Woh Samajte Hain Ke is Tarhan Se Hum Bhukay Mar Jayen Gay Aur Un Ka Pait Bhar Jaye Ga is Tarhan Bilkul Nahi Karna Chahiye Kyunkay Allah Pak Ki Makhlooq Ki Khidmat Karna Aur Un Ka Pait Paalna Un Ki hasb-e- Taufeeq Madad Karna Bohat Hi Azeem Ajar Ka Baais Bantaa Hai.


Aur Jo Bhi Insaan Dosray Insanon Ko Khelata Pilata Hai Ya Un Ki Hajat Ko Poora Farmata Hai Tu Allah Taala is Ke Rizaq Mein Barkat Daal Deta Hai is Liye Hamein Chahiye Ke Hum Apni Zaroriat-e-Zindagi Ke Sath Sath Apne Parosion Aur Apne Rishte Daaron Ki Zaroriat-e-Zindagi Ko Poora Karne Ki Koshish Zaroor Karein.


Next article mein mein Ek badshah aur dehati ka aaik behtreen waqia hai isko read karein:

👉Ek Badshah Aur Dehati Ka Waqia

Post a Comment

0 Comments