Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahin lyrics

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahin lyricsDekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahin lyricsDekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahin lyricsDekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahin lyrics


Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahin lyrics

Tazeem se leta hai Khuda naam-e-Muhammad ﷺ

Kya naam hai ae salle Allah naam-e-Muhammad ﷺ


Allah kare uspe haraam aatish-e-dozakh

Jis shakhs ke ho dil pe likha, Naame Muhammad ﷺ


Jis dil mein Muhammad ﷺ ki mohabbat nahi hoti

Us par kabhi Allah ki rehmat nahi hoti


Mera ye aqeeda hai agar zikr Khuda mein

Ye naam na shaamil ho ibadat nahi hoti


Khuda ka noor tujh mein ho ba ho hai

Khuda pinhan roo ba roo hai


Teri azmat ka andaaza ho kisko

Khuda hai aur Khuda ke baad tu hai


Dekh Ne ko ya Muhammad ﷺ, Youn to kyaa dekha nahin

Haan magar mehboob koi aap sa dekha nahi


Rasool aur bhi aaye zamaane mein lekin

Koi aap sa dekha nahi


Tumhara saani risalat mein ab ho na saka

Tumhara kahin bhi koi jawab ho na saka


Rasool aur bhi aaye jahan mein lekin

Koi bhi sahib-e-Ummul kitaab ho na saka


Jisne dekhe nain matwale tere

Mastoun mein khud woo na ho tu kya karay


Ik nazar jo dekh le kehta phire

Har har kundal kundal utte

Aashiq da dil dole

Husn tere di sifat ke aakhan

Kaafir kalma bole


Phire zamaane mein chaar janib

Nigar-e-yakta tumhi ko dekha


Yun to essa bhi hain Musa bhi, hain Yousaf bhi magar

Tumsa tumhi ko dekha


Dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahi

Tumse tumhi ho, tumsa koi doosra nahi


Haseen dekhe, jameel dekhe

Par ek tumsa tumhi ko dekha


Roya shab-e-hijra mein nahut ashq bahaaya

Itne mein musavvir ko zara reham jo aaya

Naqshe kayin tasveeron ke wo saamne laaya

Bola ke ye Yusuf hain, ye Isa hain, ye Musa

Maine kaha inmein se kisi par nahin shaida

Jab saamne laaya wo shabeeh-e-shah-e-waala

Besaakhta us waqt zubaan se meri nikla


Mukh chaand badar shah shani ae

Mathhe chamke laat noorani ae

Kaali zulf te ankh mastani ae

Makhbool ankhi in madh bhariyan

Teri soorat nu main jaan aakhan

Jaan aage jaan jahan aakhan

Sach aakhan te Rabb di shaan aakhan

Jis shaan ton shaanan sab baniyan

SubhanAllah mah asaan ka mah akmal ka

Kithe Mehar Ali kithe teri sana

Gustaakh ankhi kithe jaa lariyan


Ik se ek badh_kar haseen, dekhe magar yaa Mustafa ﷺ

Tumse badhkar husn wala doosra dekha nahi


Meem ka parda uthakar wo nigah-e-shauq se

Mustafa ﷺ ko dekh le jisne Khuda dekha nahi


Naat Lyrics in English

With reverence, God proclaims the name of Muhammad ﷺ,

What a blessed name it is — the name of Muhammad ﷺ.


May the fire of Hell be forbidden for the one,

Whose heart bears the name of Muhammad ﷺ.


A heart without the love of Muhammad ﷺ,

Shall never receive Allah’s mercy.


It is my belief, inn the remembrance of God,

If this name is absent, worship is incomplete.


The Divine Light is reflected wholly in you,

God is concealed, yet through you, revealed.


Who can truly measure your greatness?

There is God — and after Him, only you.


To see, O Muhammad ﷺ, many have gazed,

But none beheld a Beloved like you.


Messengers came to the world in ages past,

But none were ever like you.


In Prophethood, none could match your rank,

No one, anywhere, could equal your reply.


Though Prophets appeared in this world,

None bore the mantle of the Final Book but you.


Those who beheld your enchanting eyes,

Were themselves lost in rapture.


A single glance of yours makes lovers proclaim:

“In every curl and every strand,

Our hearts are stirred with love so grand,

Even disbelievers confess your beauty.”


Across the horizons, throughout all time,

The Unique One seen was only you.


Yes, there is Jesus, there is Moses, there is Joseph —

But none were ever like you.


Eyes have sought beauty, yet found none,

For you are yourself, unmatched by anyone.


Handsome ones, graceful ones have been seen,

But only you were beyond compare.


I wept in the night of separation, tears flowing,

Till the Painter showed me many portraits:

Then he brought forth the image of the Beloved King —

Uncontrollably, my tongue proclaimed:


“A face bright like the radiant moon,

A forehead shining with Divine light,

Dark locks and intoxicated eyes,

A beauty beyond all description!


Your face I call my very life,

Life upon life, the world entire!

By truth, I say — your glory is God’s glory,

From your magnificence, all majesty flows.


Glory be to Allah! — the perfect moon, the flawless star,

Where am I, a humble servant — where is your praise?

What bold eyes dare attempt such words?”


One by one, beauties were seen — but O Mustafa ﷺ,

None surpassed you in majesty or grace.


To lift the veil _ of the letter “Meem” with a glance, of longing

Whoever sees Mustafa ﷺ, has indeed seen God.

Post a Comment

0 Comments