Badshah aur Wazir ki Kahani | Moral Story in Hindi (English)

 

Badshah aur Wazir ki Kahani | Moral Story in Hindi

Badshah aur Wazir ki Kahani

Ek dafa ka zikr hai ke aik mulk mein aik aqalmand aur insaaf pasand badshah hukumat karta tha. Us badshah ka aik wafad-ar aur samajhdar wazir bhi tha jo hamesha usay sahi mashwary deta aur har mushkil waqat mein uska sath deta tha.

Wazir ki aik khas adat thi—wo har mushkil ya museebat mein kehta:
“Jo hota hai behtari ke liye hota hai.”

Badshah ko uski yeh adat ajeeb lagti thi lekin wo wazir per poora bharosa karta tha is liye kabhi kuch na kehta.

Ek din ka qissa hai, badshah shika-ar per gaya. Jungle mein ek teer lagne ki wajah se badshah ki ungli kat gayi. Badshah ne dard mein chillaaya aur gusse se wazir ki taraf dekha. Wazir ne muskara ke kaha:
“Jo hota hai behtari ke liye hota hai.”

Badshah ko yeh baat bohot buri lagi. Ussay lagaa ke wazeer uskay dard ka maza-ak uda raha hai. Gusse mein aakar badshah ne hukam diya ke wazir ko jail mein daal diya jaye.

Wazir ko le jaya gaya lekin jail jaate waqt bhi usne wahi kaha:
“Jo hota hai behtari ke liye hota hai.”

Chand din baad badshah dobara shikaar per gaya. Is dafa wo jungle mein kho gaya aur aik aise qabeeley ke logon ke haath aa gaya jo har saal aik insaan ka bhoot chadha kar apne devta ko khush karte thay. Un logon ne badshah ko pakad liya aur tyari karne lage ke usay qurbani ke liye chadha diya jaye.

Lekin jab unhon ne dekha ke badshah ki aik ungli nahi hai, to unhon ne use chor diya. Unka aqeeda tha ke jo insaan poora na ho, wo devta ke liye qabool nahi hota.

Badshah yeh sunkar heran reh gaya. Usay foran wazir ki baat yaad aayi—
“Jo hota hai behtari ke liye hota hai.”

Wo foran wapas mahal aaya aur wazir ko jail se nikalwaaya. Usay ghalti ka ehsaas hua aur usne wazir se maafi maangi.

Wazir muskaraaya aur kaha:
“Badshah Salamat, agar aap us din meri ungli katne par mujhe jail na bhejte, to aaj main aap ke saath hota. Aap to katay huay insaan thay, is liye woh qabeeley walay aap ko chor detay… lekin main to bilkul theek tha. Shayad qurbani mein main chadhaya jata. To sochiye, jail jaana bhi mere liye behtari tha.”

Badshah ne gheray soch mein doob kar kaha:
“Waqai, har kaam mein Allah ki koi na koi hikmat hoti hai.”

Us din se badshah ne seekh li ke har museebat ya taqleef mein shikayat nahi karni chahiye, balkeh sabr aur yaqeen rakhna chahiye ke “jo hota hai, behtari ke liye hota hai.”

Moral Story In Hindi:

Zindagi mein aksar hum aise waqiyat se guzarte hain jo humein us waqt samajh nahi aate. Hum dukh aur gham mein doob jaate hain, lekin waqt ke saath humein maloom hota hai ke har museebat mein ek chhupi hui behtari hoti hai.

Yeh kahani humein sabr aur yaqeen ka dars deti hai. Har buray waqat mein, har ghum ke pichay Allah Pak ki koi maslihat hoti hai. Shayad wo humein kisi aur badi museebat se bacha raha hota hai.

The Story of the King and the Minister

Long ago, in a faraway land, a fair and intelligent king governed the realm. He had a loyal and intelligent minister who always gave him good advice and stood by him in every difficult situation.

The minister had a particular habit—whenever any trouble or misfortune happened, he would say:
“Whatever happens, happens for the best.”

The king found this habit strange, but he trusted the minister completely, so he never said anything.

One day, the king went hunting. In the forest, due to an arrow, the king’s finger got cut off. The king screamed in pain and looked angrily at the minister. The minister smiled and said:
“Whatever happens, happens for the best.”

This made the king very angry. He felt as if the minister was mocking his pain. In his rage, the king ordered that the minister be thrown into prison.

The minister was taken away, but even while going to prison, he said the same thing:
“Whatever happens, happens for the best.”

A few days later, the king again went hunting. This time he got lost in the forest and was captured by a tribe who every year sacrificed a human to please their deity. They caught the king and began preparing to offer him as a sacrifice.

But when they noticed that the king was missing a finger, they released him. According to their belief, any person who was incomplete or imperfect could not be accepted as a worthy sacrifice.

The king was astonished to hear this. He immediately remembered the minister’s words—
“Whatever happens, happens for the best.”

Without delay, he went back to the royal palace and commanded that the minister be released from jail. He realized his mistake and apologized to the minister.

The minister smiled and said:
“Your Majesty, if you hadn’t sent me to prison the day your finger was cut, I would have been with you today. You were incomplete, so they let you go—but I was completely fine. Perhaps they would have sacrificed me instead. So think about it—even going to prison was for my good.”

The king, deeply thoughtful, said:
“Indeed, there is wisdom behind every happening.”

From that day onward, the king learned that in every difficulty or sorrow, one should not complain. Rather, one should have patience and faith that “whatever happens, happens for the best.”

Moral of the Story:

In life, we often go through situations we don’t understand at the time. We drown in sorrow and grief, but with time, we realize that hidden behind every hardship is some good.

This story teaches us the lesson of patience and faith. In every bad time, behind every sadness, there is some hidden wisdom from God. Perhaps He is saving us from some bigger trouble.

Read Next Moral Story:

Aaik Burahi Aurat Ki Kahani

Post a Comment

0 Comments