Story of Ibrahim & Islamic Stories
Hazrat Ibrahim a.s ke baray mein quran karim mein bohat tafseel se Irshad farmaya gaya hai k ap ne apni qoum ko buut prasti samait har kisam ki aaisi baatoun se rook diya, jo Allah Pak ke ahkam ke khilaaf hon hazrat Ibrahim ke dour mein unke mulak shaam mein namrood ki badshahat thi. Who chahta tha ke loog ussi ko khuda samjhein aue ussi ki pooja karein.
Uske zamane mein loog pehle hi buut prasti mein mubtala thay lehaza unhon ne namrood ko khuda maannay mein koi khaas itraaz nahin kiya. Hazrat Ibrahim ne namrood ki sakht mukhalifat ki us hi zamane mein hazrat Ibrahim a.s ko paighmabri atta farmai gai thi hazrat Ibrahim a.s toheed per mukammal imaan rakhne wale thay.
Aur yahi chahte bhi thay ke loog bhi har tarah ki buut prasti aur shirk choorh kar sirf aaik Allah ki bandaghi baja layein. Phir jaisa ke taqreeban har paighamber ke sath huwa hai. Namrood ne ap ki sakht mukhalifat shuru kar di hazrat Ibrahim ap walid se bhi yahi farmate ke ap loogoun ne aaj tak jin buutoun ki pooja ki hai unhon ne ap ke liye kya kiya.
Hazrat Ibrahim a.s ke walid bhi la jawab ho kar shoor machana shuru kar det eke tum mere buutoun ke khilaaf baatein karna band kar do. Phir aaik mouqa per ap mandir mein tashreef lay gaye. Aur wahan mujjoood saaray buutoun ko toorh phoorh diya. Kafiroun ne aakar dekha tu yahi kaha ke yeh hazarat Ibrahim a.s ka hi kaam ho sakta hai.
Hazrat Ibrahim a.s ko talab kiya gaya tu ap ne farmaya kya yeh jihalat ki inteha nahin hai ke jis haqeeqi khaliqo maalik ne apko paida farmaya hai. Tum loog us Allah hi ko choorh kar aaise buuton ki pooja kr rahay ho. Jo khud apni nahin kar sakte. Ap ke in irshadaat ka un mushrikon ke pass bhala Kya jawab tha.
Is liye namrood ne faisla kiya ke ap ko aagh mein phaink diya jaye. Aur phir jaise hi khofnaak aur bhrakti huwi aagh mein ap ko daala gaya. Allah pak ne foran hi aagh ko hukam diya ke thandi ho jaye aur hazrat Ibrahim a.s ko kio nuqsaan na pohanchaye. Us ne hazarat Ibrahim a.s o is tarh bacha liya jaise ap is khofnaak aagh se nahin kisi baagh se tehalte huway wapis taahreef la rahay hain. Aur Allah pak ne hazrat Ibrahim a.s ke zariye se hi paighambran karaam ka who muqaddas Silsila bhi shuru farmaya jis ka ikhtitam Hazrat Muhammad saw per huwa.
Yeh article zaroor read karein:
👉Hazrat Saleh Camel Story in Urdu | Story in Quran
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹