Hazrat Musa and Qaroon Story in Urdu

Hazrat Musa and Qaroon Story in Urdu

Zalim Badshah Firown K Darbar Mein Aaik Ameer Aadmi Tha. is Ka Naam Qadir Tha. Woh Hazrat Musa (A.H) Ka Rishtay Dar Tha. Lekin Allah Ka Na Farman Aur Sarkash Tha. Ussay Firown Ne Bani israel Ko Gulam Banane K Liye Apna Wazeer Banaya How Tha. Woh Bani israel K Loogon Se Bohat Zayada Soodh Zabardasti Leta Aur inhein Gulam Banata.


Woh Jab Mohallay Mein Jata Tu Doulat Ko Gin Gin Kar Khush Hota Rehta. is K Paas Bohat Doulat Jamah Ho Gai Lekin is Ka Lalach Barhta Hi Raha Youn Woh Mutakabbir Aur Zalim Bhi Ho Gaya. Qaroon Ne Doulat Jamah Kar K Sonay Aur Jawahirat Se Kai Barhay Barhay Sandoq Bhar Liye Thay. Jin K Talon Ki Chabiyan Hi Bohat Bhari Thein. in Chabiyoun Ko Kai Taqat War Loogh Mil Kar Uthate Thay. Hazrat Musa (A.H) Ne Hamesha Doulat K Lalich Se Qaroon Ko Roka Woh Kehte K Zulam Se Fasaad Paida Hota Hai. Allah Talah Aaise Shakhs Ko Maaf Nahi Karte.


Lekin Qaroon Aaish Ki Zindaghi Guzarta Jabkay Bani israel K Aksar Loogh is Wajah Se Ghareeb Ho Kar Gulam Ban Gaye. Woh Karhi Dhop Mein Mehnat Karne Par Majboor Ho Gaye. Hazrat Musa (A.H) Qaroon Ko Samjhate K Khabardar Doulat Allah Ki Taraf Se Aazmaish Hoti Hai. Allah Talah Dekh Rahe Hai K Tum Halal Kamai Kar Rahe Ho? Kya Tum Allah Ka Shukar Aada Karte Ho? Kya Tum Ghareebon K Liye Khariaat Karte Ho? Qaroon Hazrat Musa (A.H) Ki Baat Hi Na Sunta.


Woh JaApniraat Aur Zaiwar Pehan kar Aitrata Phirta Zaiwraat Woh Apni Shan Dikhane K Liye Pehne Rakhta Tha. Woh Akarh Kar Kehta Yeh Doulat Mein Ne Apni Aqal Mandi Se Kamai Hai

Ghareebon Ko Q Doun. Hazrat Musa (A.H) Ne Qaroon Ko Allah K Woh Azab Yaad Dilaye Jo Pehle Zamne Mein Allah K Na Farman Loogon Par Aaye Thay. Lekin is Par Koi Asar Na Howa Bani israel K Kuch Loogh Qaroon K Aan Baan Dekh Kar Bohat Rashk Karte Lekin iman Wale Loogh Samajh Gaye K Allah Ka inam Sirf Ussi Ko Milta Hai Jo Allah Ka Hukam Mane Aur Takabbar Na Kare. Woh Samajh Gaye K Qaroon Ka Anjam Bura Hoga.


Jab Qaroon Fasaad Se Baaz Na Aaya Tu is Par Allah Ka Aazab Aagaya. Aaik Sham Khofnak Zalzalah Aaya Zameen Hilne Laghi Loogh Ghabra Kar Gharoon Se Bahir Nikul Aaye Aur Dekha K Qaroon Ka Mahal Aur Khazanon K Kamray Zameen Mein Dhanas Rahe Hai. Qaroon Ki itni Doulat Usse Allah K Aazab Se Nahi Bacha Saki. Looghon Ki Aankhein Khul Gai. Aur Unhon Ne Allah Ki Naimaton Ka Shukar Aada Kiya.


Next article mein Hazrat Musa aur Hazrat Khizar Ko Waqia hai zaroor read karein: Hazrat Musa aur Hazrat Khizar Story in Urdu

Post a Comment

0 Comments