Hazrat Dawood Story in Urdu
Hazrat Dawood (A.H) Bohat Naik Bahadur Aur Aqal Mand insan Thay. in Ko Allah Talah Ne Bani israel Qoum K Liye Apna Rasool Chun Liya Tha. Allah Talah Ne Hazrat Dawood (A.H) Par Apni Kitab Zaboor Nazil Ki. Hazrat Dawood (A.H) Zaboor Ko itnay Pyare Andaz Mein K Sunnay Wale Choom Uthte. Woh Bohat Khobsurat Tariqon Se Zaboor Ki Tilawat Karte Thay. Jab Hazrat Dawood (A.H) Parhte Tu Na Sirf insan Balke Janwar Parinde Yahan Tak K Jinnaat Bhi isse Sunnay K Liye Jamah Ho Jate.
Hazrat Dawood (A.H) Ne Lohar Ka Paisha ikhtiyar Kiya. In K Hath Mein Loha Naram Ho Jata Aur Woh is Pighle Howay Lohay Se Auzar Aur Dosri Cheezay Banate Thay. Hazrat Dawood (A.H) Ne Sari Umar Nihayat Sadah Zindaghi Basar Ki Woh Hamesha Sadah Libas Pehante Aur Mitti K Bartan istemal Karte. Un Ka Ghar Bhi Bohat Sadah Tha. Hazrat Dawood (A.H) Raat Ko Jagte Woh Allah Talah K Ahkamat Par Ghoor Karte. Jo Allah Talah Ne Zaboor Mein Nazil Kiye Thay. inhein Har Waqat Yahi Fikar Rehti K Loogh Buraiyoun Se Touba Kar Laein Aur Naikiyoun Ki Taraf Aa Jaye.
Hazrat Dawood (A.H) Jab Nojawan Thay. Tu Us Waqat Bani israel Qoum Ka Badshah Talout Tha. Jisse Allah Talah Ne Un Ka Badshah Muqarrar Kiya Howa Tha. Un Ka Dushman Badshah Jalout Tha. Us Ki Foojh Bohat Barhi Thi. Jangh Se Pehle Talout Ne ilaan Kiya Jo Jalout Ko Maare Ga Wahi Mere Baad Badshah Bane Ga. Jangh Mein Hazrat Dawood (A.H) Ne Alalh K Hukam Se Jalout Ko Qatul Kar Diya Jis Se Jalout Ki Foojh Ka Hosla Toot Gaya. Aur iskay Sath Hi Bani israel Ki Foojh Jeet Gai.
Jangh Mein Fatah Hoai Tu Hazrat Dawood (A H) Bani israel K Badshah Bane. Hazrat Dawood (A.H) K Badshah Bannay K Baad Bani israel Qoum Ne Bohat Taraqqi Ki. Badshah Bannay K Baad Bhi Hazrat Dawood (A.H) Apne Paishe Se Roozi Kamate Rahe.
Allah Pak Kay Pyaray Nabi Hazrat Musa A.S Ka Waqia Read Karein: Hazrat Musa Story in Urdu
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹