Hazrat Umme Habiba Biography in Urdu
Hazrat Sayyidatuna Umme Habiba Razi Allahu Ta'ala Anha ka asal naam Ramla tha aur aap ki walida ka naam Safiya tha. Aap Hazrat Sayyiduna Ameer Muawiyah Razi Allahu Ta'ala Anhu ki behen aur Hazrat Sayyiduna Abu Sufyan Razi Allahu Ta'ala Anhu ki beti hain, jo Fatah-e-Makkah ke moqe par Islam laaye.
Wiladat aur Imaan
Aap Razi Allahu Ta'ala Anha ki wiladat Sarkar-e-Madina Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wassallam ke elaan-e-nabuwat se 17 saal pehle Makkah Mukarramah mein hui. Islam ke ibtidaai dino mein aap ne Islam qabool kiya aur Habsha ki taraf hijrat farmai. Pehle shohar se aap ki ek beti thi jiska naam "Habibah" tha. Isi wajah se aap ki kuniyat Umm-e-Habiba hai.
Mubarak Khwab
Hazrat Sayyidatuna Umm-e-Habiba Razi Allahu Ta'ala Anha farmati hain:
"Khawab mein ek shaks ko mein nay yeh kehtay huway suna woh mujhay Ya Umm-ul-Mumineen keh raha hai. Maine is khwab ki tabeer li ke Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam mujh se nikah farmayenge."
Waqia-e-Nikah
Jab Sarkar-e-Madina Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wassallam ko maloom hua ke Hazrat Umm-e-Habiba Razi Allahu Ta'ala Anha pehle shohar se alag hone ke baad sakht mushkilat ka samna kar rahi hain, to aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wassallam ne Hazrat Sayyiduna Amr bin Umayyah Razi Allahu Ta'ala Anhu ko Najashi ke paas bheja ke unhein nikah ka paighaam dein.
Najashi Razi Allahu Ta'ala Anhu ne apni kaneez Abraha ke zariye yeh paighaam Hazrat Umm-e-Habiba Razi Allahu Ta'ala Anha tak pohanchaya. Jab aap ne yeh khushkhabri suni to Abraha ko in’aam ke taur par apna zevar utaar kar de diya.
Aap Razi Allahu Ta'ala Anha ne Hazrat Sayyiduna Khalid bin Saeed Razi Allahu Ta'ala Anhu ko apna wakeel banaya. Najashi ne nikah ka khutba parha aur 400 dinar haq mehr ada kiya. Habsha mein jitne bhi musalman thay, woh is mehfil mein shamil huye. Najashi ne sab ko khana khilaya aur uske baad sab rukhst huye.
Shauq-e-Ibadat
Aap Razi Allahu Ta'ala Anha ibadat mein bohot aage thi. Ek martaba aapne Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wassallam se suna ke:
"Jo bhi shaks har din 12 rakat nafal padhay ga, Uske liye Jannat mein ghar banaya jayega."
Tab se aap ne rozana 12 rakat nafal parhna shuru kar diya.
Adab aur Muhabbat-e-Rasool
Hazrat Umme Habiba Razi Allahu Ta'ala Anha ke walid Hazrat Abu Sufyan Razi Allahu Ta'ala Anhu Islam qabool karne se pehle Madina Munawwarah aaye. Aap Razi Allahu Ta'ala Anha ke ghar pohanchkar Sarkar-e-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wassallam ke bistar par baithne lage to aap ne unhein mana kar diya, kyun ke woh us waqt tak musalman nahi hue thay.
Huqooq-ul-Ibad ki Fikr
Aap Razi Allahu Ta'ala Anha ne apne wisal se pehle Hazrat Sayyidatuna Aisha Siddiqah aur Umm-e-Salma Razi Allahu Ta'ala Anhuna se kaha:
"Mujhe un batoun mein maaf kar dein jo ek shohar ki biwiyoun ke darmiyan hoti hain."
Unhone kaha:
"Allah tabarak wa ta'ala aap ko maaf kare, hum bhi maaf karti hain."
Aap ne jawab diya:
"Allah tabarak wa ta'ala apko khush rakhe, Aap ne mujhe khush kar diya."
Wisal Mubarak
Ek riwayat ke mutabiq, 44 Hijri mein aap Razi Allahu Ta'ala Anha ka Madina Munawwarah mein wisal hua. Aap ko Jannat-ul-Baqi mein dusri azwaj-e-mutahharat ke pehlu mein dafn kiya gaya.
See more related articles:
Hazrat Khadija R.A Biography in Urdu
0 Comments
Welcome to Faisal Poetry Lyrics Blog...🌹🌹🌹